24 bhagwan ke peeche naam karan ke karan
1.pratham rishab ka swapna aur lanchan dekhkar rishab naam pada
2.chopat pase ke khel me garbh ke prabhav se raja rani ki jeet hoti isliye Ajit naam pada
3.Desh me dhan dhanya ka samuh me utpan hua dekhkar Sambhav naam pada
4.Garbh ke samay indro ne aakar barbar abhinandan kiya isliye Abhinandan naam pada
5.Rajkariya me kuch problem ke karan rani ko kuch sumati suji isliye Sumati na pada
6.Padma kamal ki saiya per sone ka dohad utpan hua aur padm ke saman sarir dekhkar Padma naam pada
7.Rani ke sparsh se raja ki pasaliya sidhi ho gayi isliye Suparsva naam pada
8.Chandrama khane ke dohad se aur chandra ke saman sarir dekhkar Chandraprabu naam pada
9.Rani ko subudhi hui aur puspa ke saman dant dekhkar Suvidhinath aur puspadant naam pada
10.Rani ke hath ke sparsh se raja ka dahjwar rog hatne se Sheetalnath naam pada
11.bahut logo ka sreya karne se aur devadhi saiya sayan karne se Sreyans naam pada
12.Vasuindra ne vasudravya ki vrusti ki isliye Vasupujya naam pada
13.Garbh me aane per mata ki budhi nirmal hone se Vimalnath naam pada
14.RajaSihasen ne anant balsali satru ki sena ko jeet liya isliye Anantnath naam pada
15.Mata pita ko dharm per dhrad priti hone ke karan Dharmnath naam pada
16.Desh me mahamari ka updrav sant hone ke karan Shantinath naam pada
17.Garbh me mata ne kunthu naam ka ratnasanchay dekha isliye Kunthu naam pada
18.mata ko garbh me Ratnamay aara dikha isliye Arnath naam pada
19.ata ne sabhi ruthu ki mala pehni isliye Mallinath naam pada
20.Bahut bolne wali mata ne garbh me maun rehne ke karan Munisuvrat naam pada
21.sab vairiyo ke namhe jane se Naminath naam pada
22.Aristha ratna ki nidhi swapna me dekhne ke karan Aristhanemi naam pada
23.Andkar me sarp ko pass se jate dekhkar Parsva naam pada
24.Rajya me dhan dhanya ki vrudhi dekh Vardhman naam pada!
Jai jinendra
No comments:
Post a Comment